Lesson in Faith| Understanding Imama and Haya's Journey

 Assalamualaikum! How are you all? I hope so You're all in good health ☺️ This is about the story of Haya and Imama. 

Aghaz_e_Zindagi🌘

Ap janta ha is digital world ma bohat sa log asa ha jo novels nahi parta aur wo novels ko kuch khas acha bhi nahi samjhta. Is ki 2 reasons ho sakti ha. Pehli ya ka wo novels ka bary ma janta nahi ha❓Dusri ya ka wo is wajah sa pasand nahi karta ka is ma ishq_o_mohabat ki dastan hoti ha. Wasa hum dono tarha ka logo ko galat to nahi keh rha kuka abi last par fasla kary ga ka novels parhna chahiye ka nahi.

Sukhan_e_Umera Ahmad💘

Kuch writers asa ha jin ka alfaz dil sa takra kar wujud ka kisi hisa ma thahar jata ha aur kisi wakat yad ata ha. Isi tarha ki novel nigar Umera Ahmad ha. Mujy novels sa koi khasa lagao nahi ha. Mujy parhna ka bhi shok nahi ha ya keh sakta ha tha. 😬 Ma jab bhi novel ki koi book dakhti to itni bari kitab dakh kar dur sa hi nafrat ho jati. Bohat sa logo ki nafsyat asi hoti ha ka bari kitaba dakh kar dar jata ha. Bas ak asa hi phobia mujy bhi ha. Lakin khar ma aj tak samjh nahi saki wo novels mana kasy parha tha? 

Novels Parhna ka Itafak🌛

Shayad ya koi itafak hua ka many ya 2 novels parhna. Ap janta ha ma ak safar karna chahte thi wo tha khud sa khuda tak ka safar. Us wakat ak novel ma ya nahi kahu gi usko parh kar lakin hidayat Allah ki taraf sa thi 🌙 Aur shayad mari dua qubol ho gai thi. Jab ak dafa mari ak aziza na mujy janat ka patty parhna ko kaha 🤐Aj bhi yad ha wo wasila ban kar ai aur unhi ka israr par parha. Aur mari khwaish jannat ka patty thamna ka puri ho gai aur mari ak nai zindagi ka aghaz hua. Aur 

Obsession with Novels🌠

Bohat sa log ha jo ak chez ko hazar bar parh sakta ha. Lakin shyad ma kabhi kisi chez ko is tarha har bar itna inhamak sa nahi parh saki.🍺 Balka asa bhi hua ka jannat ka patty novel mana bari mushkil sa khatam kia tha shayad 1 hafta ma aur usi wakat irada kia tha aga sa koi novel nahi parhu gi😑 Ara itna lamba novel? Aur phir ak dam batha bithay pata nahi kis tarha mana peer_e_kamil parhna shuru kia aur takriban ak din ka andar parh lia us ma 1114 page😱 Nakabil_e_yakin bat lakin mara lia. Lakin ak asi chez ya wo khof jo zindagi ma mujy mil nahi raha tha ya kuch asa zrur tha jo mujy wo parh kar mila shayad wo btaya nahi ja sakta😶

Ak hi Chez kai bar parhna🌕

Lakin ak chez samjh nahi ai bohat sa log kehta ha hum na ya novel 5 bar 6 bar aur pata nahi kitni bar parh lia ha. Ap log janta ha mujy kis bat ki harat hui ka ya log uktahat ka shikar nahi hota? Ak hi kitab ko itni bari.... Ufff na'kabla bardasht😩 Lakin mujy ak wakat yad aya jab ma Hifz kar rahi thi aur takriban kuch hi arsa ma mujy Quran_e_pak sa is qadar mohabat ho jay gi. Har bar ak naya sukoon. Ya ak asi hakikat ha shayad ap ma sa koi is ka tasawur na kar saka siway us ka jo ya sukoon hasil kar chuka ho. Phir ak bat abi yad aa rhi ha ka Salar Sikandar ko wo Arabi na kaha tha Ka agar tum khush naseeb ho to tum zarur hifz kar lo ga.🥀 Aur mujy us time parhta shok laga khush naseeb? Kya ya naseeb ha? Ya naseeb hi ha. Ha ya chuna hua log ha. 

Namat ki Qadar🎀

Hmara pas bohat si asi namata ha jo hmara lia namat ha lakin hum uski qadar nahi karta😕Aur bohat sa log us namat ka lia azmay ja raha hota ha. Ak wakia yad aa gya bohat hi mash'hur. 2 Dost ak dafa ak colony sa pas sa guzar raha tha hum apni zuban ma amiro ki basti keh sakta ha✨ Jab wo dono is colony ka pas sa guzra ak na kaha ka yar hum kaha tha jab inka naseeb ma itna pasa likha ja raha tha to dusra dost na hath pakra aur hospital ma mojud marizo ki tarapti halat dakh kar apna dost sa kaha hum kaha tha jab inka naseeb ma bimariya likhi ja rhi thi?💥 So, lehaza apna pas mojud har namat ki qadar kara.

Tankeed ka Samna👀

Haya na hidayat ki taraf qadam barhaya tha aur usa kis chez ka samna karna para? Sab sa pehla tankid. Wo bhi asa logo ki jo bara deen dar tha😕 Us ka taya jan jinho na bhara majma ma usa zalil kar ka rakh dia. Sirf is wajah sa ka wo pardah karti thi. 😢Ya wahi taya jan tha jo larkio Ka dupata lana ka mamla ma bohat strike tha. Lakin shayad yahi İslam sa wo fraud ha jo hum sab karta ha. Ghar sa nikalta dupata aur naqab is tarha karta ha ka hum par kisi ki nazar na para aur phir shadio ma hum utna hi ban sawar kar nikalta ha ka jis na hmari khubsurti ko nahi dakha dakh la. Aur ya hi wo farak ha jo hum smjhta nahi ha. Jo Allah ka lia sab chor da phir Allah bhi unka zamana hi badal data ha🌸

Andaz_e_Haya🖤

Ak asa novel jis ko sab na parha ho balka bohat sa logo na nahi parha. So Haya ak asi larki jo fashion karti thi. Apna baalo ko kholti hum keh sakta ha magrabi tehzeeb ki larki. 🧚 Lakin uski hidayat ka aghaz kasy hua? Kya ak hadsa ki wajah sa? Kya ak hadsah insan ko badal sakta ha?Nahi kabhi nahi. Hidayat ka wo rasta ha jisko dhunta apko zindagi bhi lag sakti ha aur Haya ki tarha kuch arsa bhi. Zindagi ma hidayat ak hi bar ma nahi mil jati lakin un logo ka siwa jo nafs par kabu pa lata ha. Lakin hum to kamzor ha😢 kai bar girta ha. Haya ki tarha bohat sa boycott face karna parta ha. Bohat sa logo ka hakarat amaz lehja ko face karna parta ha. Yad rakha jo dar gaya wo mar gaya zindagi ma jab qadam barhay to murh kar na dakha. Jo log dar jata ha ya istakamat barkarar nahi rakh sakta wo hmasha nakam rehta ha. 

Inam_e_Haya💜

Ap janta ha jannat ka patty thamna sa kya hua wo ruswah nahi hui. Uski duay qubol hoti thi. Usko us insan ka sath mil gaya tha jis sa wo mohabat karti thi. Sav sa barh kar wo sirat_e_mustakim ka rasta pa chal pari thi 🌸 Us na pardah ak dam nahi kia sakarf sa start kia tha aur ahista ahista wo phir nakab ki stage par ai. Ap agr pardah karna chahte ha to ak qadam barhay kuka sirf pehla qadam hi mushkil hota ha. 🕳️Kabi ya na socha ka puri zindagi pari ha. Kuka asal tobah jawani ki tobah ha. 

Andaz_e_Imama🌱

Ak asi larki jis ka ghar walo na pasy ki khatir mazhab badla aur unka bacha ya nahi janta tha aur wo khud ko islam ka ak firka kehta yani qadyani log. Ya wo ha jin ka bary ma hum yahi kehta ha ka ya yahud_o_nasara da bhi bed_tar ha, dajal ha. Ap logo na kabhi soch ka musanifa agar non-muslims ka bary ma likhna chahti to wo christians ka bary ma likh sakti thi, hinduo yabhi Yahudi lakin ya qadyani hi ku?

Qadyani kon ha?🐖

 Shayad hamara country ya dunya ma bohat sa nahi janta ya qadyani kon ha. Ya wo ha jo mirza gulam qadyani ko (maz-Allah) Allah ka akhri rasool kehta aur Quran ma rado_badal kar ka isko tarteeb dia.aur agar ap alfaz par ghor karna wala ha yad ho ga jab Imama apna bhai waseem sa bat kar rhi thi to wo keh rhi thi ka jitna bhi anbiya ay ha wo baki sab pechla anbiya par bhi iman rakhta ha. Lakin wo jinko hum nabi kehta ha wo dusro ko galiya data ha👎 aur hmari kitabo ma bhi galiya ha. Us ko ya bhi pata chala tehreem sa ka uska father bahir ki agencies sa pasy lata ha. Is sa pata chlta ha ka inko isi kam ka pasy milta ha jinko wo tablegh kehta Tha. Mujy umed ha kuch to zarur samjh chuka ha ap log qadyanio ka bary ma.

Roshni ka Pehla Qadam⚡

Imama ka kubul_e_islam aur ghar sa bhag jana ka pehla qadam ya hi to sab sa mushkil tha aur ya hi sab sa mushkil qadam hota ha jab ap Allah ki taraf chal parta ha aur phir madad ka lia wo Salar Sikandar jasa gunah gar ko bhi wasila bana data ha. 🌱 Ap janta ha bohat sa log is novel sa sirf ya hi shayad la saka ho ka duay qubol hoti ha aur mojzat hota ha dar-hakikat asa ha lakin Imama bhi ak salah mard ka sath chahte thi aur duay karti thi aur uska lia Allah na Salar ko hidayat ka rasta dikha dia. Kya apko lagta ha ka Salar Sikandar ko hidayat bohat jald mil gai. Jab Salar Sikandar namaz ka darmyan sa chor kar aa gya ya is bat ki taraf ishara karta ha ka jab dil ma gandagi ho to ibadat sa sukoon nahi milta blka keh sakta ha ka dil nahi Kahta😔 

Mohabat_e_Rasool💚

Wo Imama Hashim huzur ki saat_e_aqdas sa pyar karti thi aur wo janti thi ka uska walid na kaha tha tum dar badar ki thokra khao gi. Lakin Huzur sa mohabat karna wala kabhi zamana ma ruswa nahi hota aur ya bhi ka iman ki pehli shart huzur sa mohabat ha

Huzur ki mohabat deen_e_haq ki shart_e_awal ha🌷
Isi ma ho agar khami to iman na-mukam'mal ha✨
 

Inam_e_Imama💜

Imama ki Allah aur us ka rasool sa mohabat na usa dar badar ruswah nahi kia tha. Jab'ka Salar kasa 150+ IQ rakhna wala insan Imama ka barabar 0 ki hasiyat rakhta tha. Lakin kuch arsa bad hidayat ka rasta par wo imama ki sab bato ko smjh gya tha aur usko Imama Hashim ka lia ak tohfa ki surat ma Salih mard bana dia gaya tha. 🌼
Pas tum apna rab ki kon kon si namatao ko jhutlao ha🎀

Conclusion 🍂 

Ab hamara wo sawal baki reh gaya ka novel parhna chahiye? Umera Ahmad ka novels ma mohabat ka asal tasawur nikah par khatam ho jata ha. Jahan Sikandar apni biwi sa mohabat karta tha wo non-mehram nahi thi aur Salar Sikandar na jis ko dua ma manga wo uska nikah ma Thi😊 Gor kary to sab wazah ho raha ha ka mohabat ka tasawur nikah ka bad hona chahiye. Pak mohabat wahi ho gi. Jalal Ansar sa bhi to Imama pyar karti thi lakin Salar Sikandar ki mohabat pak thi aur ya bhi ka wo halal ko hi mangh raha tha. Imama agarcha usko dua ma mangti lakin wo haram tha.🕳️ Isi tarha Jahan Sikandar jis ki taraf mail hua wo uski biwi thi koi gar-aurat nahi wo dono ak dusra sa mohabat karta aur mohabat ma ezafa bhi hua. Ak chez wazah ha halal ma barkat ha. Jab'kah haram ma sirf adam-sukooni.🤕

Umeed ha apko aj ka blog aur ya point of view ☝️ interesting Laga. Apni ray comment ma lazmi da Shukriya✨
Milta ha next blog ma tab tak Allah Hafız ☺️ 
https://www.canva.com/design/DAG_ZEONJ9E/XAas1fOU2COmIUXHVSCsSw/watch

Comments

Popular posts from this blog

Qudrat ka kanoon✨

Very deep| Sohbat ka asar👥

2Types of people👉 2 tarha ka log