Deep lesson| Islam and society | Islam ki Simplicity

Assalamualaikum! Kesy ha ap? I hope so you're all good 😊 Today's topic is about our traditional rasumat.

Islam and Society💜

Ap janta ha hum ak asi society ma rehta ha jaha hum na deen aur dunya ko alag alag kar dia ha.🤐 Kya apna socha asa ku? Kuka hum na deen aur dunya ko alag alag samjh lia ha. Dar_hakikat asa bilkul bhi nahi ha. Kuka deen_e_islam ma hamri dunyawi Zindagi ma tamam mamulat mojud ha.

Aj kal ki Rasumat🤨

Hmara muashra ma agr shadi ki rasumat ko 
Dakha jay to hum na shadi ko bohat mushkil bana dia ha😏 Aj kal muslmano ki shadi ma kuch asa nahi jo ya batay ka hum muslims ha. Halaka Quran-e-pak ma Allah  irshad farmata ha;
     Yahud_o_nasara ki parwi na karo❌
Lakin shayad hama farak hi nahi parh raha. Har time songs aur is tarha ka wahiyat trends ko follow karna, jo non muslims ka haan bohat mash_hur hoon. Lehaza asi rasumat sa aur trends sa bacha.

Songs ku Haram ha🎤🎻🥁

Hum ya to janta ha ka islam ma songs sa manna kia gya ha lakin kis wajha sa? Kabhi ghor kia yakinan nahi. Pehla Hadis_e_pak ko sunta Huzur Akram(S.A.W) ka farman ka mafhum ha;
Saf alfaz ha lakin bohat sa log  songs jaiz ha,  agr shirkiya alfaz na ho to ya keh kar khud bhi gumrah hota ha dusro ko bhi gumrah karta ha.😕lehaza asa logo sa bacha.🙏

Rasm_e_Hina Ka Islam ma tasawur✨

Ap janta ha ka rasm_e_hina yani mehndi ka function aur is ma mojud rasumat ka islam sa koi taluk nahi. Bohat sa log to is function ko balka majority sa bhi zada log is ko faraz samjhta ha lakin dar_hakikat ya hinduo ki rasumat ha🤥 So Huzur ki Hadis ka mafhum bhi ha ka;
Lehaza huma samjhna chahiye ka agar ak insan ka pecha lambi line ho to usi ka pecha na chla kuka asa ho sakta ha ka shayad wo insan jis ka pecha lambi line ha wo andha ho.😑 Is dunya ma kuch bhi ho sakta ha.

Islam ma Nikah ka tasawur 

Islam ma nikah ak bohat hi khubsurt aur huzur ki sunnat ha. Bohat si khawateen aur mard hazrat ya kehta ha ka hum sari zindagi akala hi raha ga. Halaka agr asa hota to islam hi mana kar data. Lakin hum na nikkah ko hi is qadar mushkil bana dia ka koi gareeb insan apni beti ya bata ki kar hi ni sakta bary functions ka bagar.😏 Kya hum muslman ha? Kya İslam ma fazul kharchi ko manna nahi kia gya? Lakin hum asa ku karta ha? 

Logo ka hmari Zindagi sa Taluk

Kya logo ka Lia? Log Kon ha? Wo jo sirf baty karta ha. Wo log jo mushkilat ma kam nahi ata. Log Log aur log😖 Ap kab sa logo ki fikar karna laga? Ya log to kahi bhi hmara kam nahi ata. Hum mushkilat ma ho to ya madad ka lia apna bazu nahi pehlata. Phir asa ku?
Ak bazurg tha to un sa kisi na puch ka ap logo ki bato ka bara ma fikar nahi karta Kya?
Unho na jawab ma kaha Ka;
       "Ma jab is dunya ma aya to tanha,jab jao ga tab bhi tanjha,hisab ka wakat bhi tanha to logo ki fikar ku kary.
Yani wo jo bhi kaha phir mujy fark ku pary.
Bohat sa log is bat sa stress ma chla jata ha ab kya ho ga log baty kara ga etc😬 So apna Allah par bharosah rakha.

Deen sa Fraud 

Ap janta ha hum sab sa zada khud ka sath aur apna mazhab ka sath dhoka kya kar raha ha? Hum har us bat ko jaha hum theek ha wo follow karta ha. Lakin jab kahi asi bat aa jay jaha hum galat ho bayan hi nahi karta🤐 Kya yahud_o_nasara asa nahi karta? Wo kya karta ha ahkamat ko badlta ha aur hum bhi wo bata chupata ha kam sary unhi ka karta ha lakin tag islam ka laga lata ha 👐 Kya ya khula tazad nahi ha? Lakin huma farak hi nahi parta kuka hum to nay log ha ha hum to open minded log ha.😢

Quran aur hamari Zindagi 

Ap janta ha Quran ka andar mojud ak ak ayat sirf rehnumai nahi ha balka sukoon ha. Lakin hum sirf kehta ha sukoon ka lakin kabhi hasil nahi kia. Mujy ak wakia yad aa gya.

Qisa_e_Imam

Ak dafa ak allama sahab tha to ak akidat mand na unki dawat ki. Imam sahab jaha batha tha waha unka 1 lack ya shyd is sa zada pasy para tha.💸 Ab İmam sahab dawat ka bad chala gay. Beta pasy dhund raha tha Lakin kahi nahi mila.❓Ab beta chahta tha imam sahab sa puch lia jay ka unho na to nahi dakha?Lakin walid na manna kar dia ka imam sahab ko ya na laga ka hum ilzam laga raha ha. Ak saal bad jab phir imam sahab ki dawat ki to ab beta sa raha na gya aur Imam sahab sa puch lia ka apna tab pasy dakha tha? Imam sahab rona laga ab walid jab ay to beta ko kehna laga ka kya kaha imam sahab ko? Imam sahab na kaha ka bacha na Kuch nahi kaha. Pechla saal jab ma aya tha to 1 lack rupay bikhra pary tha mana utha kar quran ma rakh dia ka jab ap khola to hifazt sa mil jay. Lakin dukh ki bat to ya ha ka saal guzar gya lakin apna Quran ko khol kar bhi nahi dakha.😖

Garat_e_Musalman

Hum aj dunya bhar ma zalil ha pata ha waja kya ha? Hum achi taleem ka lia dunya ka kisi bhi kona ma chla jata ha lakin jab Quran ko samjhna ho to youtube aur engineer aur plambro jasa logo sa samjh lata ha. Sırf ya hi nahi balka 11 month filma,drama aur nachna wali khawateen aur mard hazrat bhi Ramzan transmission ka zariya huma deen sekha raha hota ha💥 Ya hi hmari zilat ki waja ha.Hum wo log ha jo pasy ki khatir apni mama, Behan aur batiyo ko nachwata ha🤥 Kya kabhi shair-e-mashrik ka falsfah nahi parha hum na? Kya hum na apna bazurgoh ki sawaneh hayat nahi pari? Hum kasy parh sakta ha? Humara pas to time hi nahi ha. Agr hum ya parha ga to TikTok kon dakha ga Facebook Instagram wagara kon dakha ga. Harat ha na asi garat par.

Quran ki Taraf Rujuh 🎀

Ap janta ha baz ukat hum namaz parhna chah raha hota ha lakin parh nahi aa raha Hota. Hum Quran parhna chah raha hota ha lakin parh nahi pa raha Hota. Wajah ak hi apni ankho aur dil ko wahiyat aur haram ki itni adat lagwa data ha ka deen ki taraf dil hi nahi karta.Isi lia Quran_e_pak ma Allah ka irshad ha na 
     "Namaz be_hayai ka kamo sa rokti ha"
Lahaza apna dil deen ki taraf lagay taka namaz mushkil na laga. 

Salaf  Salihin Ka tazkirah

Salaf Salihin hmara guzra hua buzurg ya ap keh sakta ha ka salih log ha. Kisi na kya khub bat ki thi. Unho na kaha ma haran hu ka salaf Salihin puri puri raat Quran-e-pak ko parta tha lakin kasy? Phir kahta ha mana logo ko sari raat mobile chalata dakha aur ma samjh gya ka jab kisi chez sa hamy Mohabat ho jay to insan phir usi ko dakhta ha,usi ko parhta ha aur usi ka zikar karta ha.

Conclusion 🍂 

Natija sada sa ha Deen sa mazak na kary. Deen ma hara phari na kary. Yahud_o_nasara ki parwih na kary. Islam ki simplicity ko apnata hua zindagi ko asan bnay. Galat aur wahiyat trends ko na apnay. Quran ko samjha aur ana wali naslo ko bhi is ka noor sa roshnas karway.✨
 
I hope so you're all like this blog 😉 
Milta ha next blog ma tab tak Allah Hafız ☺️ 

Comments

Popular posts from this blog

Qudrat ka kanoon✨

Very deep| Sohbat ka asar👥

2Types of people👉 2 tarha ka log