Islamic Touch | Purdah in Islam Part-3🖤
Assalamulaikum! How are you all? Purdah series ka aj last part ma khush amadeed💙aj hum ahl-e-beat aur sahabiyat ka purdah ka bara ma zikar kara ga☺
Syeda Fatima ki Zindagi 💖
Huzur akram ki shehzadi, syeda,tayaba,tahira ka pardah aur unki zindagi hum khwateen ka lia rol model ha. Huma zindagi ma unka tarika pr amal krna chahiya. Ap hmsha pardah ma rehti👍
Hazart Imam Hassan ka Wakia🤗
Hazrat Imam Hassan sa riwayat ha ka ap farmata ha mana apni zindagi ma yani ap takribn 11 baras ka qareeb tha jab syeda pak is dunya sa rukhsat hi gai.🎗 Ap farmata ha ka mana kabhi apni zindagi ma kabhi apni walida ka baal bhi kabhi ni dakha😳 kabhi baal bhi!
Aj ki Society 👩👧👦
Lakin aj hmara muashra ma khwateen baal khol kar phirti ha aur afsos ha asa bhai par asa baap pr aur asa beta par jinko pata nahi ka aurat ko kis tarha rakhna ha.😑 Shyd isi wja sa aj hmara muashra barbad ho gya.💔 Hum na kabhi unko apna hakikatan role models ka bara ma btaya hi ni.
Syeda-Pak ka Qisa🎀
Ak dafa syeda pak bazar sa guzar rahi thi ka apki chadar mubarik itni bari thi ka zameen sa lag rahi thi to kisi na Hazrat Ali sa kaha ka syeda pak ki chadar asa necha lagti ha to ap unsa farmay.♥️ Jab apna syeda pak sa kaha to apna farmaya AA Ali! Mujy ya bat gawara nahi ka koi na-mehram mara paro ko bhi dakha💞 kya khubsurt bat ha. Gor karo larkiyo is bat pr👆
Syeda Zainab ka Purdah✍️
Kya ap janta ha ka syeda pak ki shehzadi syeda zainab is qadar pardah wali thi ka apka parosi kehta ha ka hum na kabhi apko pardah ma bhi nahi dakha😱 SubhanAllah purdah ma bhi kabhi nahi.
Medan-e-Karbala👀
Medan-e-karbala jaha apka sara khandan shaheed hua agr banda ka ghar ma koi ak ki death ho jay na aur us sa mohabt bht zada ho to banda pagal ho jata ha air yaha sara khandan takribn 99 afrad 🤕 shaheed ho jay aur unka pardah na chut saka yaha tak ka unki namaza bhi kaza na hui😍 aur aj hum harat ha na ka hmara sar ma bhi dard ho to namaz chor data ha🙎♀️
Sahabiyat ki Zindagi🙂
Sahabiyat ki zindagi sa bhi malum hota ha ka kis tarha unho na apni zindagi ma pardah ki perwi ki aur huzur ki har sunnat ko baja lana ki koshish ki.🤩
Hazrat khwala ki Zindagi
Hazrat Khwala ki zindagi ka mutala sa malum hota ha ka ak jangh ma unka jawan beta aur shohar shaheed ho gay💣 aur apko khabar hui ap bhagi gai aur rasta pa dupta thora sa sar sa khisakna laga. Ap ruki aur apna dupta sahi kia aur phir gai kisi sa kaha ka beta aur shohar shaheed ho gya aur isko dupta ki pari ha. Kya khubsurat jawab dia apna kaha ka: khwala ka beta aur shohar is dunya sa gay ha ezat ni gai ☺ kya jawab ha na ka ezat baki ha garat baki ha .
Hmara lia Rehnumai🍂
Hmara lia isi ma rehnumai ha ka hum ahl-e-beat aur sahabiyat ki zindagi ka mutala sa malum hota ha ka huma bhi purdah ka hukam pr amal karna chahiya. Agr apna pehla part-2 parha ho to us ma tofi wali example ko hmsha yad rakha.
Modern Society 🤷♀️🤷♂️
Modern Society sa zara khud ko bachay aur maghrabi tehzib ki taraf khud ki tawaja na kara balka islam ki khubsurti ko pehchana😊 jo apsa kaha ka beta abi sa pardah unko btay ka islam mujy pardah ka hukam ha aur mujy apna nabi sa muhabat ha aur ma Allah ka ahkam pr amal kru gi na ka ya ghatya society ka pecha chal kr apni numaish kru gi😐 Aur is bat ko bhi yad rakha ka qayamat ka din agr syeda pak na apsa puch lia ka kya tum pardah nahi kar ski? Itna mushkil nahi tha to kya jawab da gi? Allah hum sab ko pardah karna ki tofeek ata farmay 🤲
I hope so apko acha laga aur ap pardah ki taraf ragib ho Ammeennn milta ha next blog ma Allah Hafiz 😘
Comments
Post a Comment