Very deep| Sohbat ka asar👥

 Assalamulaikum! Ksa ha ap sab? 

Sohbat ka Asar👥

Sab sa pehli bat to ya bat yad rakha ka sohbat ka asar kya ha? Hum ma sa bht sa log janta bhi ha ka sohbat ka matlb kisi bhi insan ka afal ko follow krna means us tarha ban jana. Ak mashhur kahawat ha ka"kharbuza ko dakh kr kharbuza rangh pakarta ha"🍋 isi tarha yad rakha sohbat ka asar hota ha.

Sohbat kitni tarha ki?🤷‍♀️🤷‍♂️

Yad rakha sohbat 2 tarha ki ha.

Hum na dakha ka sohbat do tarha ki ha aur hum ab bari bari dakhta ha aur khud ka muhasba karta ha ka hum kin logo ki sohbat ma bathta ha.

  • Achi Sohbat 

Yad rakha acha logo ki sohbat apko acha bnay gi aur bura logo ki sohbat bura bnay gi.Acha log kis tarha ka yani wo log jo Allah ka qareeb ha. Ak bohat hi pyari bat ha ka "un logo ka pas batho jin pr rehmat ki barish hoti ha taka us rehmat ka qatra tum pr bhi gira"🌸  Apki sohbat hi apka kirdar ki akasi karti ha. Aur kaha jata ha ka "sohbat ka asar baz ukat tarbeyat ka asar sa zada hota ha "👀 yad rakha agr ap acha logo ka sath batha ga ap bhi unki tarha ho jay ga. Agr galiya dana walo ka sath batha ga ap unki tarha hi ho jay ga.😐

  • Buri Sohbat😶

Yad rakha agr ap bura logo ki sohbat ma batha ga ap unki tarha ho jay ga. Kuka insan ki adat ko bohat jaldi apdopt krta ha🐣 isi lia buri sohbat sa dur rehna ko kaha jata ha. Yad rakha bura logo ki sohbat kabhi fayda nahi dati. Hum ma sa bohat sa log ya kehta ha ka agr dost acha ni to ma to acha hu na. To ak bat btaiya kya kabhi asa hua ha ka banda dakuo ki sohbat ma batha aur wo wali ban jay ni asa ni ho skta🐾 kuka Allah walo ki sohbat sa hi Allah milta ha.

Real life Examples ✍️

Apko fakir ak asa bacha ka wakiya suna raha ha jis ka bap ak bht smjhdar admi tha. Bacha ki adaten boht achi thi nmazi bacha 🙎‍♂️ lakin hua ya ka dost bura bana lia. Ab log kehna laga ka ya bacha bhi in hi ki tarha logo ki larkio ko charta ha wgara wgara😗 Ab kisi na uska walid ko btaya ka apka bacha boht acha ha isko bola ka ya bura log ha🧟‍♂️ inki sohbat chor da. Chunka walid bhi smjhdar insan tha bacha ko smjhaya lakin wahi bat ma khud to acha hu na smjhdar log hmasha misal sa smjhata ha🤙

Phal kharidna🍎

 Ab walid na bacha sa kaha ka beta jao bazar sa apple la kr ao ak kilo acha aur ak kilo kharab. Ab chuka bacha farmabardar tha la aya. Ab asa hua ka walid na kaha ka ya saf aur acha aur metha sabh in khrab ma dalo jin aa smell aa rhi thi bacha na isi tarha kia😑 Ab subo hui walid na wo sabh magway aur kya dakha ka jo acha sabh tha jab unko khrab aur smell walo ma dala to wo acha sabh bhi gal sarh gay😩 walid na bacha sa kaha ya to sahi tha lakin ya ku khrb ho gay aur smell ana lagi? Phir walid na kaha ka beta bura logo ki sohbat bhi isi tarha hoti ha 🍂 ap agr khud acha bhi ho lakin ap acha logo ma nahi ha balka bura logo ma ha ap bhi asa hi ho jata ho. Umeed ha ap sb bhi is wakay sa ebrat hasil kra ga.🦉 

Aur is ka ilawa bhi kuch log ha?🤔

Kya is ka ilawa bhi aur log ha? G ha kamyab log bhi to hota ha, nakam log bhi to hota ha, mayus log bhi to hota ha, kya ni? Hota ha na lakin hum sirf 2 tarha ka log ku smjhta ha? 🙄 kuka shyd hum smjhta ha ka sohbat achi ya buri hoti ha aur fakir na bhi apsa sirf achi aur buri sohbat ka zikar kia lakin ak interesting 😊 yad rakha sohbat aur bhi tarha ki hoti ha shyd hum na kabhi socha ni is bara ma chla dakhta ha ka aur kon si sohbat ho skti ha;

Kamyab Log🏆

Yad rakha rakha ka kamyab logo ka sath agr nakam log batha wo kamyab ho jata ha. Isi tarha agr apka life ma aims nahi ha lakin unka sath bath kr unki bata sun kr ap bhi majbur ho jay ga ka mra aim kya ha🎋 yahi kamyabi ki nishani ha.🎗

Na-kam Log😥

Na-kam log hmasha na kami ki hi bata karta ha.😶 yaha tak ka agr ap kamyabi ki taraf ja raha ha unki sohbat apko bhi na-kam bana dati ha kuka wo hmsha apna time waste karta ha😕 aur apko bhi unka sath time waste karna ma maza ana laga ga aur ya apki sab sa bari na-kami ha ka apna time ki qadar kho data ha unka sath rehta rehta.🐙

Ma-yus Log🤦‍♀️🤦‍♂️

 Ya asa log ha ka hamsha nakami ki bata karta rehta ha aur hmasha mayus rehta ha. Ya har time hi kisi ahikwa shikayat ma laga rehta ha aur apna zehni sukoon kho data ha🤯 jis ki wja sa ap bhi asa hi hona lag jata ha. Asa log kabhi bhi apni achievement nahi dakhta balka hmsha nakami ko dakhta ha jis ki wja sa khud bhi na-kam hi rehta ha aur apna sath walo ka bhi bera garak karta ha🎠 asa logo sa to hamsha dur hi raha jay.

Pur-Umeed Log🤗

Yad rakha pur-umeed log hmasha khush rehta ha aur hmasha itmenan ma rehta ha☺ inka sath banda hmasha khushi mehsus krta ha💗 kuka ya har time Allah ka shukar ada karta ha aur apni achievement pr khush hota ha aur dusro ko bhi khush rakhta ha🤩 ya hmasha positive sochta ha inka sath reh kr agla insan khud-bakhud positiveho jata ha.😋

Conclusion🌱

 Hum na boht sa logo ki sohbat ka bara ma bat ki aur ya bhi jana ka sohbat ka asar hota ha kuka agr ap khushbu ka pas sa guzra to ap sa bhi khushbu ana lag jati ha🌷 lakin agr ap gandi nali ka pas sa guzra bhala chahra pr kapra ho thori boht smell aa hi jati ha aur ya hi acha aur bura ki misal ha 🐣 acha logo ki sohbat ma batha aur khud ko bhi acha bnay. Koshish kara ka Allah walo ki sohbat ma batha aur khud ko bhi Allah ka qareeb kara💕 Allah hum sab ka hami-o-nasir ho Ammeenn🤲 

Aj ka blog kasa laga comment ma zrur btay. Miltq ha next blog ma Allah Hafiz.


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Qudrat ka kanoon✨

2Types of people👉 2 tarha ka log