⭐Positive Thinking is the Success of Life
🌺Positive soch ka life pr effect:
Zinagi ma utar charhao zindagi ka hisa ha lakin ak word "Soch" ya ak asa lafz ha jis ma sari kamyabi chupi hui ha agr apki soch ma hi milawat ha to yad rakhiya kamyabi kabi apka mukadar ni ho skti 😶
Hadis ka mafhum ha ka:
"Amal ka daro-madar niyat par ha"
Kamyabi kya ha?🤔
Kamyabi ka matlb exams ma number lana bilkul ni, na hi bht pasa kama lana, balka asal maksad kisi asi chez ko achieve kr lana jis sa sukoon mila. Dil itminan mehsus kra aur ya kabi bhi bohat zada pasa sa bilkul b hasil nahi kia ja sakta . Kamyabi bht tarika sa hasil ki ja sakti ha. Dusro ki madad kr ka💞, isi tarha kuch asa kr ka jis ki waja sa dusro ko fayda ho ya b kamyabi hi ha.🤞
🌷Sukoon
Yd rakhiya har chez ka ikhtatam sirf sukoon pr hi hota ha insan ko zindagi ma sirf sukoon chahiya 🙂 Jo bhi ho sukoon ak asi chez ha jis ka bagr banda reh hi nahi skta
Kahani🤐
Ak shaks jis ka pas karoro ki dolat ha lakin apni bemari ka bais wo kuch bhi kha nahi skta siway ata ko channa ka bad jo bura niklta ha us ka siwa wo kuch bhi nahi kya skta 😨 dakha is dunya ma asa bohat sa log ha jo sirf smjhta ha ka pasa ay to sukoon aa jata ha ya bilkul galat ha🙅♀️
Allah ki takseem😍
Yad rakha Allah na kisi ko zada chezo sa nawaza kisi ko kam sa. Isi tarha kuch ko bohat zda pasa dia ya is wja sa bhi to ho skta ha ka agr us ka pas pasa na hota to wo koi glt kam krna lag jata ya wo nashukri ka alfaz keh data😑. Isi tarha wo log jin ko kam pasa dia ho skta ha ka in ko ni dia is wja sa ka shyd wo ayashi ma apni akhrat barbad na kar la 🥀 isi lia nashukri sa bacha aur Allah na jo dia ha us par shukar ada kara🤲
Hasad sa bacha🧟♀️
Hmara haa asa hota ha ka agr Kisi ka par koi chez nahi ha ya kisi ko Allah koi mukam-o-martaba ata farma da to kuch log hasad karna lag jata ha yad rakhiya ap hasad ku kar rha ha?🤔 kya ap janta ha ka us insan na kitni mushkilat bardasht ki? Kya ap janta ha wo kitni bar tuta? Nahi! lakin Allah janta ha aur wo jb kisi ko kuch ata farmay to fasad na farmay balka Allah sa dua kara ka hama bhi ata farmay🤲
Conclusion 🦋
Zindagi ma hamasha positive raha acha socha aur kisi ko takleef na da aur achi soch ka natija bhi acha ho ga aur buri soch ka wabal bhi ap par hi ha aur yad rakhiya sukoon sirf pasa nahi balka wo jis sa ap khud par bojh mehsus na kara aur Allah ki takseem par hamsha razi raha aur kabhi kisi sa hasad na kara blka shukar ada kra jo bhi Allah apko ata farmay🌸
Comments
Post a Comment