Very Deep Lesson| Power of Silent💪

 Assalamulaikum! Ksa ha ap sb? Aj ka topic ha power of silent yani khamoshi ki takat

The Power of Silent🤐

Kya ap janta ha ka khamoshi ak takat ha. Ak asi chupi hui takat jis ko kam log janta ha. Jo log jitna khamosh hota ha wo utna hi gehra hota ha.😶 Jo khamosh log hota ha wo har chez ka andaza bht acha sa lga lata ha aur logo ki pehchan bhi kar lata ha.🙌 

Logo sa Bat-chet Mukhtasir🍂

Khamosh log logo sa bat chet mukhtasir rakhta ha. Aur wo koi bhi fazool bat nahi karta . Hum is tarha bhi keh skta ha ka shyd wo log apni limit ma rehna chahta ha aur dusro ko bhi limit ma rakhta ha.🤟 Kuka bohat sa log asa ha jo bata kar ka apni qadar kho data ha. Shyd ya log unki bewa-kufi ko dakhta hua chup ko tarjeeh data ha.👀wo kehta ha ka
       
 Kuch logo ki bata hi fazool lagti ha🙄
 Aur kuch ki khamoshi bhi qahar hoti ha👏

Hamhsa apni qadar ko yad rakha kara aur jaha ezat na ho waha na jaya kara. Hum ma sa bohat sa log asa ha jo zada logo sa milna ki wja sa ezat kho data ha. 

Connection of Self-Respect and Silent

Self-Respect ka taluk silent ka sath bhi ha aur isi tarha baz ukat kuch log asa hota ha jo bohat bolta ha,maza karta ha,hasta ha,muskurata ha lakin phir ak dam wo khamosh ho jata ha🎋 Asa ku? Kabhi socha ha? Shyd ni kuka koi asa logo ko janana ki koshish nahi karta. Sometimes kuch log asa hota ha jinka dil boht buri tarha tut gya hota ha aur wo bilkul bikhar gay hotq ha💔 unka andar ak tufan chal raha hota ha lakin sath batha hua insan ko lag raha hota ha ka ya to bohat khush ha.😣 

Dil ka tarapna😔

Apko pata ha dil jab tut gya hota ha aur insan bilkul dunya sa akk gya hota ha to phir wo khamoshi ikhtyar kar lata ha. Usko farak nahi parta ka dunya ab kya kehti ha. Phir wo apni dunya ma itni maghan ho jata ha ka koi chekh bhi raha ho to unko sunai nahi data🗣 shyd wo log apni umar sa zada hadsat dakh chuka hota ha. Shyd isi lia wo khalna ki umar ma hi bohat bara ho jata ha.🌔 unka dil is dunya ma nahi hota wo apni hi alg dunya ma zinda hota ha.🏞

Khamosh Rehna walo ki Dunya🏙

Kya ap janta ha khamosh rehna walo ki dunya bohat mukhtalif hoti ha. Ak asi dunya jaha par sukoon hota ha, ak asi dunya jaha par unki marzi ka baghar koi nahi aa skta,ak.asi dunya jaha par bata sunana wala log nahi tang karna wala log nahi⛲ kya ap jana chahta ha ak asi dunya ma? Waha jana ka lia apko tutna parta ha apna apko kam-tr aur be-bas mehsus jab kara aur feel ho ka ap ak andhari jagha par ha🗻 jaha par apka siwa koi nahi to talash ki jia ga ka ak Zat ha jo apko roshni dikhay gi ak asi roshni jis ka bad andhara nahi ho ga phir pta chla ga ka wo apka rab ki zat ha.🌈 phir apka pehla qadam ho ga us dunya ma aur yahi apki zindagi ka agaz ka din ho ga.

Khamosh logo ki Nature🦋

Is dunya ma sab ko lagta ha ka khamosh log bohat zada maghrur hota ha ya unko kaha jata ha ka in ma attitude boht ha😐 lakin wo log asa bilkul nahi hota balka wo ak asi zindagi guzar ka ay hota ha jis ma wo kabhi bor nahi hona data tha kisi ko. Shyd logo na unki qadar na ki ya shyd unko bohat buri tarha tor dia hota ha jo wo asa ho jata ha. Phir jab asa log mun pharta ha to asa pharta ha ka agr koi mar bhi raha ho aur unko jan dana ki bhi bata kra wo parwah nahi karta ✌ yahi inki sab sa bari strengh hoti ha jis sa ya sab achieve kar lata ha jo ya chahta ha. Asa log apna har qadam boht soch smjh kar uthata ha.😎


Kam karna ka tarika💢

Asa log zada tar dunya ko haran karna wala kam karta ha. Ya log kuch asa karna chahta hota ha jis sa dunya ko haran kar da. Asa log kabhi bhi apna faslo ka bara ma kisi ko nahi btata. Bas khamoshi sa sab kam kar jata ha. Ya log hmasha chup kar mehnat karta ha. Kabhi mahi btata ka hum itna parhtaha ya asa karta ha😯 bs ya hmasha chup rehta ha🤐 Asal intelligent log yahi hota ha. Kabhi agr apko asa log mil jay ya ap sa dosti kar la to ya ganimat hoti ha. Lakin ya log dost bna bhi la agr dost na bhi ho ya khud ko smbhalna janta ha ya apni dunya ma ksa khush rehna ha janta ha. Dost ho na ho inko farak nahi parhta. 😌 kya ap asa ha? Ya asa bnana chahte ha age bnana chahte ha to aj sa hi practice start kara.


Khamosh rehna ki Tips🧚‍♀️

Yad rakha har ak sa bs ak limit ma reh kar bat kara. Aur koshish kara ka fazol bata na kara aur kisi sa bila waja free na ho kuka ya dunya apko khush nahi rehna dati ma chahte hu apko ak asi kahani btao ka kis tarha log apko khush nahi dakh skta😞lakin inshallah agli har zrur btao gi. Agr khud ko bdalna ha to ahista ahista khud ko badla. Kabhi bhi ya na socha ka ak din ma hi ap badal jay ga asa nahi ho skta ahista ahista hi badla ga ap. Jasa kehta ha ka qatra qatra darya banta ha isi tarha. 

I hope so apko ya blog acha lga ho ga comment ma apna reviews zrur share kara. Mila ga ab kisi next blog ka sath Allah Hafiz😊

Comments

  1. Must read ❤️😌😊this is so relatable 🫂🥀🪐

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Qudrat ka kanoon✨

Very deep| Sohbat ka asar👥

2Types of people👉 2 tarha ka log